9 Parveen Shakir Sher | 2 Line Image Poetry | Copy & Paste



parveen shakir, poetry book, book of Parveen Shakir

Best of Parveen Shakir 2 Line Urdu Photos Shayari



Apni Ruswai Tere Naam Ka Charcha Dekhun

اپنی رسوائی ترے نام کا چرچا دیکھوں
اک ذرا شعر کہوں اور میں کیا کیا دیکھوں

Apni Ruswai Tere Naam Ka Charcha Dekhun
Ik Zara Sher Kahun Aur Mai Kya Kya Dekhun



Yun Dekhna Us Ko K Koi Aur Na Dekhe

یوں دیکھنا اس کو کہ کوئی اور نہ دیکھے
انعام تو اچھا تھا مگر شرط کڑی تھی

Yun Dekhna Us Ko K Koi Aur Na Dekhe
Inaam To Achaa Tha Magar Shart Kari Thi



Justuju Khoe Huon Ki Umar Bhai Karte Rahe

جستجو کھوئے ہوؤں کی عمر بھر کرتے رہے
چاند کے ہم راہ ہم ہر شب سفر کرتے رہے

Justuju Khoe Huon Ki Umar Bhai Karte Rahe
Chand Ke Humrah Hum Har Shab Safar Karte Rahe



Kadmon Mai Bhi Takan Thi Ghar Bhi Kareeb Tha

قدموں میں بھی تکان تھی گھر بھی قریب تھا
پر کیا کریں کہ اب کے سفر ہی عجیب تھا

Kadmon Mai Bhi Takan Thi Ghar Bhi Kareeb Tha
Par Kya Karen K Ab K Safar Hi Ajeeb Tha



Kya Kare Meri Masihai Bhi Karne Wala

کیا کرے میری مسیحائی بھی کرنے والا
زخم ہی یہ مجھے لگتا نہیں بھرنے والا

Kya Kare Meri Masihai Bhi Karne Wala
Zakham Hi Ye Mujhe Lagta Nahi Bharne Wala



Ye Hawa Kaise Urah Le Gai Anchal Mera

یہ ہوا کیسے اڑا لے گئی آنچل میرا
یوں ستانے کی تو عادت مرے گھنشیام کی تھی

Ye Hawa Kaise Urah Le Gai Anchal Mera
Yuun Satane Ki To Aadat Meri Ghanshyam Ki Thi



Rafaqaton Ke Nai Khawab  Khushnuma Hain Magar

رفاقتوں کے نئے خواب خوش نما ہیں مگر
گزر چکا ہے ترے اعتبار کا موسم

Rafaqaton Ke Nai Khawab Khushnuma Hain Magar
Guzar Chuka Hai Teri Aitbaar Ka Mausam



Main Sach Kahungi Magar Phir Bhi Haar Jaungi

میں سچ کہوں گی مگر پھر بھی ہار جاؤں گی
وہ جھوٹ بولے گا اور لا جواب کر دے گا

Main Sach Kahungi Magar Phir Bhi Haar Jaungi
Wo Jhoot Bolega Aur La-Jawab Kar Dega



Gawahi Kaise Tutti Muamla Khuda Ka Tha

گواہی کیسے ٹوٹتی معاملہ خدا کا تھا
مرا اور اس کا رابطہ تو ہاتھ اور دعا کا تھا

Gawahi Kaise Tutti Muamla Khuda Ka Tha
Mera Aur Us Ka Rishta To Hath Aur Dua Ka Tha

Post a Comment

Thank you for your comment!

Previous Post Next Post